Hum logaan zaraa play karne ku sonche. Aapku daawat hai (zyaada feel nakko ho jaao, khaane-peene ka nai hai sirf dekhne ka hai aake..ticket bi khareedna padta) aake hamaara play dekho. Aap aaye toh acha dikhta hamaarku. Play bi bhot mazey ka hai. Waise apne muh se zyaada nai bolna apan, magar poori koshish kiye apne bacche..jaan laga diye. Hum bi umeed karre aapku acha dikhta bolke. Waise play angrezi ka hai, Hugh Chesterman bolke chicha thhe (khuda unki ruh ko jannat naseeb karo), unho likhe so ‘The Pie & The Tart’, bolke play ku hum logaan padhe..bhot acha laga apne ku. Magar praablem kya ho gayi bolto, play angrezi mey tha, aur hum logon ki puur englis mey nai jamta honga sonchke, hum logaan thode tabdeeliyaan kardiye script aur dialagon mey: line-on ku Hyderabadi mey daal diye aur thode situationaan idhar udhar kar diye. Aap dekhe toh samajh jaate. Istori kya hai bol toh: do bhukke nange bhikaariyaan rehte, Salim-Javed; unn logon ku zabardast bhook lagti rehti. Ramzan (aur rehem) ka quota khatam ho gaya bolke, koi bi bheek ke naam ku thookte bi nai unke muh pe. Aakhir mey Ismile bhai aur Pasha Bi ke ghar ke bahaar khade reh toh unku sunaai padta ke Ismile bhai ki koi nawaab saab ku khush karne ke waaste khaas zaafraani biryaani banaate, jiski khushbu soong ke Salim-Javed ku idea aata ke Biryaani nawaab saab ke paet mey nai, unn logon ke paet mey jaana. Unki yeh tarqeeb kaamyaab hoti ki nai, yeh dekhne ke waaste aap logaan apne full familyon ke saath zaroor aao.